mahw-e-ruKH-e-yar ho gae hum
mahv-e-ruḳh-e-yār ho ga.e ham
so jī se nisār ho ga.e ham
fitrāk se bāñdh ḳhvāh mat bāñdh
ab tere shikār ho ga.e ham
dāman ko na pahuñche tere ab tak
har chand ġhubār ho ga.e ham
aatā nahīñ koī ab nazar meñ
kis se ye do-chār ho ga.e ham
thā kaun ki dekhte hī jis ke
yuuñ āshiq-e-zār ho ga.e ham
hastī hī hijāb thī jo dekhā
is bahar se paar ho ga.e ham
'bedār' sarishk-e-lāla-gūñ se
ham-chashm-e-bahār ho ga.e ham
mahw-e-ruKH-e-yar ho gae hum
so ji se nisar ho gae hum
fitrak se bandh KHwah mat bandh
ab tere shikar ho gae hum
daman ko na pahunche tere ab tak
har chand ghubar ho gae hum
aata nahin koi ab nazar mein
kis se ye do-chaar ho gae hum
tha kaun ki dekhte hi jis ke
yun aashiq-e-zar ho gae hum
hasti hi hijab thi jo dekha
is bahar se par ho gae hum
'bedar' sarishk-e-lala-gun se
ham-chashm-e-bahaar ho gae hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.