mahw-e-yas logon ki baat kyon nahin karte
mahv-e-yās logoñ kī baat kyoñ nahīñ karte
tum udaas logoñ kī baat kyoñ nahīñ karte
baat karte rahte ho ranj-o-ġham kī har lamha
ġham-shanās logoñ kī baat kyoñ nahīñ karte
aadmī ko raġhbat hai aadmī kī bātoñ se
ās-pās logoñ kī baat kyoñ nahīñ karte
har koī hai shaidā.ī māl-o-zar kī devī kā
be-asās logoñ kī baat kyoñ nahīñ karte
hai 'navāz' bātil kī ḳhvāb-gāh ye duniyā
haq-shanās logoñ kī baat kyoñ nahīñ karte
mahw-e-yas logon ki baat kyon nahin karte
tum udas logon ki baat kyon nahin karte
baat karte rahte ho ranj-o-gham ki har lamha
gham-shanas logon ki baat kyon nahin karte
aadmi ko raghbat hai aadmi ki baaton se
aas-pas logon ki baat kyon nahin karte
har koi hai shaidai mal-o-zar ki dewi ka
be-asas logon ki baat kyon nahin karte
hai 'nawaz' baatil ki KHwab-gah ye duniya
haq-shanas logon ki baat kyon nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.