mahw kar Dalegi ek din husn ki shohrat mujhe
mahv kar Dālegī ik din husn kī shohrat mujhe
ġhair tujh ko dekhte haiñ hotī hai hairat mujhe
ishq kī rāheñ haiñ tai karnī kisī sūrat mujhe
manzileñ dushvār haiñ allāh de himmat mujhe
hashr ke din bhī gunāhoñ se na hūñgā sharmsār
muñh chhupāne ko milegā dāman-e-rahmat mujhe
maiñ pas-e-dīvār baiThā huuñ sukūn-e-qalb se
jiite jī duniyā meñ goyā mil ga.ī jannat mujhe
koī rahnā chāhiye dast-e-junūñ kā mashġhala
le to aa.ī hai bayābāñ meñ mirī vahshat mujhe
zindagī to kāvishoñ meñ hī kaTī apnī 'shamīm'
qabr meñ le jā.egī ab ḳhvāhish-e-rāhat mujhe
mahw kar Dalegi ek din husn ki shohrat mujhe
ghair tujh ko dekhte hain hoti hai hairat mujhe
ishq ki rahen hain tai karni kisi surat mujhe
manzilen dushwar hain allah de himmat mujhe
hashr ke din bhi gunahon se na hunga sharmsar
munh chhupane ko milega daman-e-rahmat mujhe
main pas-e-diwar baiTha hun sukun-e-qalb se
jite ji duniya mein goya mil gai jannat mujhe
koi rahna chahiye dast-e-junun ka mashghala
le to aai hai bayaban mein meri wahshat mujhe
zindagi to kawishon mein hi kaTi apni 'shamim'
qabr mein le jaegi ab KHwahish-e-rahat mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.