mahw kar Dali kisi ne dil se meri yaad tak
mahv kar Daalī kisī ne dil se merī yaad tak
ho nahīñ saktī magar is zulm par fariyād tak
vahshateñ itnī baḌhī haiñ kārobār-e-shauq meñ
duur mujh se bhāgtā hai ab mirā ham-zād tak
terī merī laġhzishoñ par hī kahāñ mauqūf hai
baat chal niklī to phir jā.egī ye ajdād tak
sochtā huuñ kyā kareñge indimāl-e-dard-e-dil
ġhaur se sunte nahīñ haiñ jo mirī rūdād tak
ban ga.e insān apnī zaat meñ jangal 'munīr'
uḌ ga.ī hai bastiyoñ se bū-e-ādam-zād tak
mahw kar Dali kisi ne dil se meri yaad tak
ho nahin sakti magar is zulm par fariyaad tak
wahshaten itni baDhi hain karobar-e-shauq mein
dur mujh se bhagta hai ab mera ham-zad tak
teri meri laghzishon par hi kahan mauquf hai
baat chal nikli to phir jaegi ye ajdad tak
sochta hun kya karenge indimal-e-dard-e-dil
ghaur se sunte nahin hain jo meri rudad tak
ban gae insan apni zat mein jangal 'munir'
uD gai hai bastiyon se bu-e-adam-zad tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.