mahzun na ho huzur ab aata hai yar apna
mahzun na ho huzur ab aata hai yar apna
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
MORE BYGulam Yahya Huzur Azimabadi
mahzūñ na ho 'huzūr' ab aatā hai yaar apnā
kartā hai fazl tujh par parvardigār apnā
jab se gayā vo mah-rū āġhosh se hamārī
rahtā hai jyuuñ mah-e-nau ḳhālī kanār apnā
zulf-o-ruḳh-e-sanam ke ġham meñ sadā rahe ham
guzrā hamesha yuuñ hī lail-o-nahār apnā
ai be-ḳhudī-e-mai tū aa dosh par uThā le
uThtā nahīñ mujh se ab bojh-bhār apnā
mahbūb haiñ jahāñ tak nahīñ āshnā kasū ke
hote nahīñ haiñ apne kiije hazār apnā
kahne se sher ke kuchh hāsil nahīñ magar haañ
ye hai ki ba.ad apne ho yādgār apnā
āzurda kuchh haiñ shāyad varna 'huzūr' mujh se
kyuuñ muñh phulā rahā hai vo gul-ezār apnā
mahzun na ho 'huzur' ab aata hai yar apna
karta hai fazl tujh par parwardigar apna
jab se gaya wo mah-ru aaghosh se hamari
rahta hai jyun mah-e-nau KHali kanar apna
zulf-o-ruKH-e-sanam ke gham mein sada rahe hum
guzra hamesha yun hi lail-o-nahaar apna
ai be-KHudi-e-mai tu aa dosh par uTha le
uThta nahin mujh se ab bojh-bhaar apna
mahbub hain jahan tak nahin aashna kasu ke
hote nahin hain apne kije hazar apna
kahne se sher ke kuchh hasil nahin magar han
ye hai ki baad apne ho yaadgar apna
aazurda kuchh hain shayad warna 'huzur' mujh se
kyun munh phula raha hai wo gul-ezar apna
- Dewan-e-Huzoor (E-Book)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.