mai bhi hai saghar bhi hai saqi bhi paimana bhi hai
mai bhī hai sāġhar bhī hai saaqī bhī paimāna bhī hai
dekhnā ye hai ki ham meñ zauq-e-rindāna bhī hai
raqs-e-parvāna bhī dekh ai chashm-e-ibrat ye bhī dekh
sham.a kī āġhosh meñ kuchh ḳhāk-e-parvāna bhī hai
ham ne maanā hai sukūñ dāmān-e-sāhil meñ magar
fitrat-e-ahl-e-junūñ tūfāñ se Takrānā bhī hai
ai talabgār-e-masarrat ye bhī sochā hai kabhī
ik masarrat apne dil ko ġham se bahlānā bhī hai
jis ne jo chāhā use samjhā kiyā ai ham-nashīñ
zindagānī ik haqīqat bhī hai afsāna bhī hai
ahl-e-dil ke vāste hai bahr-e-aish-o-imbisāt
go ba-zāhir bazm-e-hastī ek ġham-ḳhāna bhī hai
do ghaḌī ai gardish-e-ayyām bas ruk jā yahīñ
sāqī-e-rā.anā bhī hai gardish meñ paimāna bhī hai
jalva-ārā zarre zarre meñ hai nūr-e-barq-e-tūr
lekin ai 'sābir' kahīñ zauq-e-kalīmāna bhī hai
mai bhi hai saghar bhi hai saqi bhi paimana bhi hai
dekhna ye hai ki hum mein zauq-e-rindana bhi hai
raqs-e-parwana bhi dekh ai chashm-e-ibrat ye bhi dekh
shama ki aaghosh mein kuchh KHak-e-parwana bhi hai
hum ne mana hai sukun daman-e-sahil mein magar
fitrat-e-ahl-e-junun tufan se Takrana bhi hai
ai talabgar-e-masarrat ye bhi socha hai kabhi
ek masarrat apne dil ko gham se bahlana bhi hai
jis ne jo chaha use samjha kiya ai ham-nashin
zindagani ek haqiqat bhi hai afsana bhi hai
ahl-e-dil ke waste hai bahr-e-aish-o-imbisat
go ba-zahir bazm-e-hasti ek gham-KHana bhi hai
do ghaDi ai gardish-e-ayyam bas ruk ja yahin
saqi-e-raana bhi hai gardish mein paimana bhi hai
jalwa-ara zarre zarre mein hai nur-e-barq-e-tur
lekin ai 'sabir' kahin zauq-e-kalimana bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.