mai-kada mere liye jā-e-tasādum to nahīñ
laakh nashsha hai magar hosh mire gum to nahīñ
mo'tariz kyuuñ hai zamāna mirī betābī par
ḳhāmushī kī hī adā hai ye takallum to nahīñ
kyuuñ safīna mirī hastī kā ho ġharqāb-e-fanā
jazr-o-mad dil kā hai dariyā kā talātum to nahīñ
ab ḳhatā-kosh na hoñ mujh ko ye tambīh bhī hai
ai ḳhatā-posh ye kuchh shān-e-tarahhum to nahīñ
us kī fariyād kā kyuuñ tum pe asar hotā hai
aur koī hai 'munavvar' kā ḳhudā tum to nahīñ
mai-kada mere liye ja-e-tasadum to nahin
lakh nashsha hai magar hosh mere gum to nahin
mo'tariz kyun hai zamana meri betabi par
KHamushi ki hi ada hai ye takallum to nahin
kyun safina meri hasti ka ho gharqab-e-fana
jazr-o-mad dil ka hai dariya ka talatum to nahin
ab KHata-kosh na hon mujh ko ye tambih bhi hai
ai KHata-posh ye kuchh shan-e-tarahhum to nahin
us ki fariyaad ka kyun tum pe asar hota hai
aur koi hai 'munawwar' ka KHuda tum to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.