mai-kada raat gham ka ghar nikla
mai-kada raat ġham kā ghar niklā
dil-havelī tale khañDar niklā
maiñ use DhūñDhtā thā āñkhoñ meñ
phuul ban kar vo shāḳh par niklā
kis ke saa.e meñ sar chhupāoge
vo shajar dhuup kā shajar niklā
us kā āñchal bhī koī bādal thā
vo havāoñ kā ham-safar niklā
koī kāġhaz na thā lifāfe meñ
sirf titlī kā ek par niklā
jab se jaanā ki vo bahādur haiñ
dil se kuchh dushmanoñ kā Dar niklā
zindagī ik faqīr kī chādar
jab Dhake paañv ham ne sar niklā
mai-kada raat gham ka ghar nikla
dil-haweli tale khanDar nikla
main use DhunDhta tha aankhon mein
phul ban kar wo shaKH par nikla
kis ke sae mein sar chhupaoge
wo shajar dhup ka shajar nikla
us ka aanchal bhi koi baadal tha
wo hawaon ka ham-safar nikla
koi kaghaz na tha lifafe mein
sirf titli ka ek par nikla
jab se jaana ki wo bahadur hain
dil se kuchh dushmanon ka Dar nikla
zindagi ek faqir ki chadar
jab Dhake panw hum ne sar nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.