mai-kade ke bujh gae sare charagh
mai-kade ke bujh ga.e saare charāġh
karb-e-jāñ-sozī se dil haare charāġh
merī palkoñ par jale the jo kabhī
ban ga.e vo arsh ke taare charāġh
dard se kuchh is tarah simTī hai lau
aah bhar kar chup haiñ bechāre charāġh
maiñ vo rahrav huuñ ki jis kī raah meñ
tīrgī ne har qadam vaare charāġh
'baḳht' zarf-e-anjuman par raat bhar
TimTimā.e dard ke maare charāġh
mai-kade ke bujh gae sare charagh
karb-e-jaan-sozi se dil haare charagh
meri palkon par jale the jo kabhi
ban gae wo arsh ke tare charagh
dard se kuchh is tarah simTi hai lau
aah bhar kar chup hain bechaare charagh
main wo rahraw hun ki jis ki rah mein
tirgi ne har qadam ware charagh
'baKHt' zarf-e-anjuman par raat bhar
TimTimae dard ke mare charagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.