mai-kade ke siwa mili hai kahan
mai-kade ke sivā milī hai kahāñ
aur duniyā meñ raushnī hai kahāñ
ārzūoñ kā ik hujūm sahī
fursat-e-shauq kho ga.ī hai kahāñ
jitne vārafta-e-safar haiñ ham
utnī rāhoñ meñ dilkashī hai kahāñ
saath aa.e koī ki rah jaa.e
zindagī muḌ ke dekhtī hai kahāñ
ḳhush-adā sab haiñ āshnā 'jāved'
apnī āvārgī chhupī hai kahāñ
mai-kade ke siwa mili hai kahan
aur duniya mein raushni hai kahan
aarzuon ka ek hujum sahi
fursat-e-shauq kho gai hai kahan
jitne warafta-e-safar hain hum
utni rahon mein dilkashi hai kahan
sath aae koi ki rah jae
zindagi muD ke dekhti hai kahan
KHush-ada sab hain aashna 'jawed'
apni aawargi chhupi hai kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.