mai-kade ki shart daur-e-baada-o-saghar ki qaid
mai-kade kī shart daur-e-bāda-o-sāġhar kī qaid
ek merī tishnagī aur us pe duniyā bhar kī qaid
ishq meñ sahrā-navardī kā bahāna chāhiye
vahshat-e-dil ke liye achchhī nahīñ hai ghar kī qaid
māvarā-e-arsh hai mere taḳhayyul kī uḌaan
harf-e-be-ma.anī samajhtā huuñ maiñ bāl-o-par kī qaid
dā.ī-e-soz-e-jigar ho kyoñ na parvāne kī ḳhaak
sham-e-mahfil ke liye hai mom ke paikar kī qaid
zindagī kā mā-hasal hai iztirāb-e-zindagī
jāda-e-ulfat meñ lāzim hai dil-e-muztar kī qaid
aadmī kī ḳhvāb-gāheñ haiñ salīb-o-teġh bhī
niiñd se be-tāb āñkhoñ ko nahīñ bistar kī qaid
kyā jahān-e-rang-o-nik.hat kī qasam kaafī na thī
kyoñ pa.e-saugand rakhī tum ne apne sar kī qaid
vaqt ke sail-e-ravāñ ke sāmne kuchh bhī nahīñ
bādbān-e-azm kī bandish ho yā langar kī qaid
sar-ba-sajda jab kabhī zauq-e-jabīñ-sā.ī huā
jazb-e-ulfat ne lagā dī us ke sang-e-dar kī qaid
kyā kisī dariyā kī lahreñ gin nahīñ saktā thā maiñ
ḳhvāb meñ rakkhī ga.ī kyoñ ret ke manzar kī qaid
merī nazroñ meñ mohabbat vo ibādat hai 'sabā'
jis ibādat meñ nahīñ hai phuul aur patthar kī qaid
mai-kade ki shart daur-e-baada-o-saghar ki qaid
ek meri tishnagi aur us pe duniya bhar ki qaid
ishq mein sahra-nawardi ka bahana chahiye
wahshat-e-dil ke liye achchhi nahin hai ghar ki qaid
mawara-e-arsh hai mere taKHayyul ki uDan
harf-e-be-mani samajhta hun main baal-o-par ki qaid
dai-e-soz-e-jigar ho kyon na parwane ki KHak
sham-e-mahfil ke liye hai mom ke paikar ki qaid
zindagi ka ma-hasal hai iztirab-e-zindagi
jada-e-ulfat mein lazim hai dil-e-muztar ki qaid
aadmi ki KHwab-gahen hain salib-o-tegh bhi
nind se be-tab aankhon ko nahin bistar ki qaid
kya jahan-e-rang-o-nikhat ki qasam kafi na thi
kyon pae-saugand rakhi tum ne apne sar ki qaid
waqt ke sail-e-rawan ke samne kuchh bhi nahin
baadban-e-azm ki bandish ho ya langar ki qaid
sar-ba-sajda jab kabhi zauq-e-jabin-sai hua
jazb-e-ulfat ne laga di us ke sang-e-dar ki qaid
kya kisi dariya ki lahren gin nahin sakta tha main
KHwab mein rakkhi gai kyon ret ke manzar ki qaid
meri nazron mein mohabbat wo ibaadat hai 'saba'
jis ibaadat mein nahin hai phul aur patthar ki qaid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.