mai-kade mein gae to kya hoga
mai-kade meñ ga.e to kyā hogā
dard dil kā mire sivā hogā
jo huā hai vahī sadā hogā
bā-vafā hai jo bevafā hogā
tum kaho vaqt hai tumhāre saath
ham kaheñge to ye gila hogā
chand tinke abhī haiñ dāman meñ
fasl-e-gul aa ga.ī to kyā hogā
ham kareñge zarūr zikr-e-vafā
jānte haiñ ki vo ḳhafā hogā
sāz-e-hastī ko soch kar chheḌo
ek din ye bhī be-sadā hogā
kaam kartā hai raat din 'ahmad'
hogā qismat meñ jo likhā hogā
mai-kade mein gae to kya hoga
dard dil ka mere siwa hoga
jo hua hai wahi sada hoga
ba-wafa hai jo bewafa hoga
tum kaho waqt hai tumhaare sath
hum kahenge to ye gila hoga
chand tinke abhi hain daman mein
fasl-e-gul aa gai to kya hoga
hum karenge zarur zikr-e-wafa
jaante hain ki wo KHafa hoga
saz-e-hasti ko soch kar chheDo
ek din ye bhi be-sada hoga
kaam karta hai raat din 'ahmad'
hoga qismat mein jo likha hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.