mai-kade se ayagh le aae
mai-kade se ayāġh le aa.e
ham bhī apnā surāġh le aa.e
kuchh nahīñ bas tumhārī mahfil se
bad-gumānī ke daaġh le aa.e
baat dil kī thī dil se ho jaatī
beach meñ tum dimāġh le aa.e
ḳhāna-e-dil meñ raushnī ke liye
ham falak se charāġh le aa.e
ham nikal kar hisār-e-jāñ se 'sahar'
zindagī meñ farāġh le aa.e
mai-kade se ayagh le aae
hum bhi apna suragh le aae
kuchh nahin bas tumhaari mahfil se
bad-gumani ke dagh le aae
baat dil ki thi dil se ho jati
beach mein tum dimagh le aae
KHana-e-dil mein raushni ke liye
hum falak se charagh le aae
hum nikal kar hisar-e-jaan se 'sahar'
zindagi mein faragh le aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.