mai-kade se dar-e-jaanan ki taraf aae hain
mai-kade se dar-e-jānāñ kī taraf aa.e haiñ
aaj ham kufr se īmāñ kī taraf aa.e haiñ
log jaate haiñ bahāroñ meñ gulistāñ kī taraf
ham gulistāñ se bayābāñ kī taraf aa.e haiñ
dīda-o-dil ko hai qurbat tire ġham se lekin
ashk bah kar mire dāmāñ kī taraf aa.e haiñ
jab bhī ādāb-e-junūñ tark kiye haiñ ham ne
haath vahshat meñ garebāñ kī taraf aa.e haiñ
thī jinheñ bahr-e-havādis meñ kināre kī talāsh
jaane kyā soch ke tūfāñ kī taraf aa.e haiñ
ahl-e-gulshan pe koī vaqt paḌā hai jab bhī
phuul uḌ-uḌ ke bayābāñ kī taraf aa.e haiñ
tiir us kī nigah-e-nāz ke aksar 'shādāñ'
dil se guzre haiñ rag-e-jāñ kī taraf aa.e haiñ
mai-kade se dar-e-jaanan ki taraf aae hain
aaj hum kufr se iman ki taraf aae hain
log jate hain bahaaron mein gulistan ki taraf
hum gulistan se bayaban ki taraf aae hain
dida-o-dil ko hai qurbat tere gham se lekin
ashk bah kar mere daman ki taraf aae hain
jab bhi aadab-e-junun tark kiye hain hum ne
hath wahshat mein gareban ki taraf aae hain
thi jinhen bahr-e-hawadis mein kinare ki talash
jaane kya soch ke tufan ki taraf aae hain
ahl-e-gulshan pe koi waqt paDa hai jab bhi
phul uD-uD ke bayaban ki taraf aae hain
tir us ki nigah-e-naz ke aksar 'shadan'
dil se guzre hain rag-e-jaan ki taraf aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.