mai-KHana-e-hayat ka anjam de gaya
mai-ḳhāna-e-hayāt kā anjām de gayā
vo mujh ko ek TuuTā huā jaam de gayā
vo fikr-o-fan ko jazba-e-be-nām de gayā
ġhazloñ ko merī paikar-e-ib.hām de gayā
aayā thā saath le ke vo sauġhāt hijr kī
ruḳhsat huā to tohfa-e-auhām de gayā
zāhir hue na chehre se dil ke ta.assurāt
ḳhabroñ pe tabsira bhī bahut kaam de gayā
sahbā shabāb qaus-o-quzah raushnī gulāb
har shaḳhs tujh ko ek nayā naam de gayā
duniyā kī nafsiyāt samā meñ na aa sakī
har aadmī hayāt ko ilzām de gayā
mai-KHana-e-hayat ka anjam de gaya
wo mujh ko ek TuTa hua jam de gaya
wo fikr-o-fan ko jazba-e-be-nam de gaya
ghazlon ko meri paikar-e-ibham de gaya
aaya tha sath le ke wo saughat hijr ki
ruKHsat hua to tohfa-e-auham de gaya
zahir hue na chehre se dil ke tassuraat
KHabron pe tabsira bhi bahut kaam de gaya
sahba shabab qaus-o-quzah raushni gulab
har shaKHs tujh ko ek naya nam de gaya
duniya ki nafsiyat sama mein na aa saki
har aadmi hayat ko ilzam de gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.