mai-KHana ki raunaq hai juda shan-e-haram aur
mai-ḳhāna kī raunaq hai judā shān-e-haram aur
mai-kash kā mizāj aur hai zāhid kā bharam aur
nākāmī-e-takmīl-e-tamanna hai ik āġhāz
asbāb-e-ġham-e-jāñ to abhī hoñge baham aur
kuchh dasht-navardī ke to kuchh koh-kanī ke
afsāna-e-tash.hīr-e-vafā hoñge raqam aur
paspā.ī pe āmāda jo sardāroñ ko dekhā
ham le ke baḌhe ḳhūn-e-tamannā kā alam aur
ik lafz ki tafsīr banā ḳhūn-e-jigar kī
hai ziist kā mafhūm ki maulā kā karam aur
mai-KHana ki raunaq hai juda shan-e-haram aur
mai-kash ka mizaj aur hai zahid ka bharam aur
nakaami-e-takmil-e-tamanna hai ek aaghaz
asbab-e-gham-e-jaan to abhi honge baham aur
kuchh dasht-nawardi ke to kuchh koh-kani ke
afsana-e-tashhir-e-wafa honge raqam aur
paspai pe aamada jo sardaron ko dekha
hum le ke baDhe KHun-e-tamanna ka alam aur
ek lafz ki tafsir bana KHun-e-jigar ki
hai zist ka mafhum ki maula ka karam aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.