mai mile ya na mile rasm nibha li jae
mai mile yā na mile rasm nibhā lī jaa.e
ḳhālī botal hai to ḳhālī hī uchhālī jaa.e
ham bhī haiñ sīna-sipar aap bhī shamshīr-ba-kaf
baat to jab hai koī vaar nā ḳhālī jaa.e
ghar ke āñgan meñ ta.assub kī ye saḌtī huī laash
kitne din biit ga.e ab to uThā lī jaa.e
kyā ta.ajjub hai ki kuchh sote hue jaag uThīñ
suunī bastī meñ ik āvāz lagā lī jaa.e
kal jo aa.eñ vo añdheroñ meñ na bhaTkeñ 'rāhī'
laao ik sham.a sar-e-rāh jalā lī jaa.e
mai mile ya na mile rasm nibha li jae
KHali botal hai to KHali hi uchhaali jae
hum bhi hain sina-sipar aap bhi shamshir-ba-kaf
baat to jab hai koi war na KHali jae
ghar ke aangan mein tassub ki ye saDti hui lash
kitne din bit gae ab to uTha li jae
kya tajjub hai ki kuchh sote hue jag uThin
suni basti mein ek aawaz laga li jae
kal jo aaen wo andheron mein na bhaTken 'rahi'
lao ek shama sar-e-rah jala li jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.