mai piye mast hai sarshaar kahan jata hai
mai piye mast hai sarshār kahāñ jaatā hai
is shab-e-tār meñ ai yaar kahāñ jaatā hai
teġh-bar-dosh sipar haath meñ dāman-gardāñ
ye banā sūrat-e-ḳhuñḳhār kahāñ jaatā hai
dil ko ārām nahīñ ek bhī dam yaañ tujh bin
tū mire paas se dildār kahāñ jaatā hai
ek aalam abhī hairat-zada kar aayā tū
phir ab ai ā.īna-ruḳhsār kahāñ jaatā hai
jām-o-mīnā-o-mai-o-sāqī-o-mutrib ham-rāh
is sar-anjām se 'bedār' kahāñ jaatā hai
mai piye mast hai sarshaar kahan jata hai
is shab-e-tar mein ai yar kahan jata hai
tegh-bar-dosh sipar hath mein daman-gardan
ye bana surat-e-KHunKHar kahan jata hai
dil ko aaram nahin ek bhi dam yan tujh bin
tu mere pas se dildar kahan jata hai
ek aalam abhi hairat-zada kar aaya tu
phir ab ai aaina-ruKHsar kahan jata hai
jam-o-mina-o-mai-o-saqi-o-mutrib ham-rah
is sar-anjam se 'bedar' kahan jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.