mai se vo jām-e-jism hai jab se bharā huā
sar hai futūr-e-ḳhvāhish-e-shab se bharā huā
dil hai ki jāntā hai junūñ kā ma.aal bhī
sar hai ki phir bhī shor-o-shaġhab se bharā huā
ġhaflat-shi.ār dil pe koī raat Daal kar
jaatā hai mehr ġhaiz-o-ġhazab se bharā huā
dīvār-e-mai-kadā koī raste meñ aa ga.ī
varna ye jaam hai koī ab se bharā huā
haTtā nahīñ nigāh-e-alamnāk se kabhī
chehra koī ḳhumār-e-tarab se bharā huā
mai se wo jam-e-jism hai jab se bhara hua
sar hai futur-e-KHwahish-e-shab se bhara hua
dil hai ki jaanta hai junun ka maal bhi
sar hai ki phir bhi shor-o-shaghab se bhara hua
ghaflat-shiar dil pe koi raat Dal kar
jata hai mehr ghaiz-o-ghazab se bhara hua
diwar-e-mai-kada koi raste mein aa gai
warna ye jam hai koi ab se bhara hua
haTta nahin nigah-e-alamnak se kabhi
chehra koi KHumar-e-tarab se bhara hua
Source :
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 516)
-
Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.