maiKHane ka dar kyon hai muqaffal mutawatir
maiḳhāne kā dar kyoñ hai muqaffal mutavātir
rahtī hai tabī.at mirī bojhal mutavātir
kartā hai vo kyā teġh ko saiqal mutavātir
ik barq hai raqsāñ sar-e-maqtal mutavātir
vo kal bhī kabhī aa.egī jis kal ko tū aa.e
suntā hī rahūñ yā tirī kal kal mutavātir
kab qais ke marne se koī farq paḌā hai
aate hī rahe dasht meñ pāgal mutavātir
kal ḳhvāb meñ dekhe the dhanak-rañg falak par
yaad aatā hai mujh ko tirā āñchal mutavātir
mahtāb-ruḳh utrā hai koī us meñ yaqīnan
hai qulzum-e-dil meñ jo ye halchal mutavātir
'salmān' ko dekho ki hai maqtal meñ vo raqsāñ
lab par hai tirā zikr musalsal mutavātir
maiKHane ka dar kyon hai muqaffal mutawatir
rahti hai tabiat meri bojhal mutawatir
karta hai wo kya tegh ko saiqal mutawatir
ek barq hai raqsan sar-e-maqtal mutawatir
wo kal bhi kabhi aaegi jis kal ko tu aae
sunta hi rahun ya teri kal kal mutawatir
kab qais ke marne se koi farq paDa hai
aate hi rahe dasht mein pagal mutawatir
kal KHwab mein dekhe the dhanak-rang falak par
yaad aata hai mujh ko tera aanchal mutawatir
mahtab-ruKH utra hai koi us mein yaqinan
hai qulzum-e-dil mein jo ye halchal mutawatir
'salman' ko dekho ki hai maqtal mein wo raqsan
lab par hai tera zikr musalsal mutawatir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.