maiKHane ke dar par jo laTka nazar aata hai
maiḳhāne ke dar par jo laTkā nazar aatā hai
ye shaiḳh-e-haram hī kā kurtā nazar aatā hai
powder hai ki chehre par aaTā nazar aatā hai
mahbūb-e-ḳhud-ārā to baniyā nazar aatā hai
laḌkā nazar aatī hai laḌkī nazar aatā hai
maġhrib kā jo sīdhā hai ulTā nazar aatā hai
malmal kā amāma to london meñ nahīñ miltā
ai shaiḳh tire sar par Dhāka nazar aatā hai
ġhā.eb haiñ namāzī bhī ġhā.eb hai vo mullā bhī
masjid meñ musalle par loTā nazar aatā hai
āshiq ke janāze par duniyā hī chalī aa.ī
kaalā nazar aatā hai gorā nazar aatā hai
vaa.iz ne kaTā Daalī maiḳhāne meñ phir bole
kyā chor kī dāḌhī meñ tinkā nazar aatā hai
maiKHane ke dar par jo laTka nazar aata hai
ye shaiKH-e-haram hi ka kurta nazar aata hai
powder hai ki chehre par aaTa nazar aata hai
mahbub-e-KHud-ara to baniya nazar aata hai
laDka nazar aati hai laDki nazar aata hai
maghrib ka jo sidha hai ulTa nazar aata hai
malmal ka amama to london mein nahin milta
ai shaiKH tere sar par Dhaka nazar aata hai
ghaeb hain namazi bhi ghaeb hai wo mulla bhi
masjid mein musalle par loTa nazar aata hai
aashiq ke janaze par duniya hi chali aai
kala nazar aata hai gora nazar aata hai
waiz ne kaTa Dali maiKHane mein phir bole
kya chor ki daDhi mein tinka nazar aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.