maiKHane mein humne ye kirdar banaya hai
maiḳhāne meñ ham ne ye kirdār banāyā hai
ḳhud pyaas se taḌpe haiñ auroñ ko pilāyā hai
ḳhāmosh nahīñ baiThe kuchh kar ke dikhāyā hai
jab barq girī ham ne gulshan ko bachāyā hai
is daur ke logoñ kā insāf zarā dekho
mazlūm ko pakḌā hai zālim ko bachāyā hai
kyā ham ko zamāna ye tahzīb sikhā.egā
ḳhud ham ne zamāne ko qānūn sikhāyā hai
ai 'rāz' bahut Dariye bach bach ke zarā chaliye
duniyā ne bahut ūñchā le jā ke girāyā hai
maiKHane mein hum ne ye kirdar banaya hai
KHud pyas se taDpe hain auron ko pilaya hai
KHamosh nahin baiThe kuchh kar ke dikhaya hai
jab barq giri hum ne gulshan ko bachaya hai
is daur ke logon ka insaf zara dekho
mazlum ko pakDa hai zalim ko bachaya hai
kya hum ko zamana ye tahzib sikhaega
KHud hum ne zamane ko qanun sikhaya hai
ai 'raaz' bahut Dariye bach bach ke zara chaliye
duniya ne bahut uncha le ja ke giraya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.