maiKHane mein ulfat ke nigahban bahut hain
maiḳhāne meñ ulfat ke nigahbān bahut haiñ
is chhoTī sī bastī meñ bhī insān bahut haiñ
ḳhud apnī tabāhī kā hameñ ranj nahīñ hai
tauhīn-e-mohabbat se pareshān bahut haiñ
aaj un ko huā hai ġhalat ehsās kā ehsās
ā.īna jo dekhā hai to hairān bahut haiñ
maiḳhāne meñ roz aane kī kyoñ kartā hai zahmat
zāhid tirī tablīġh ke maidān bahut haiñ
āgāh nahīñ hañsne ke anjām se shāyad
vo phuul jinheñ hañsne ke armān bahut haiñ
maġhmūm na ho tang-nigāhī-e-jahāñ se
bilqīs-e-adab tere sulaimān bahut haiñ
sāhil pe pahuñchne kī kare kaun tamanna
dariyā meñ safīne ke nigahbān bahut haiñ
bijlī kī sifat sho.ala-fishānī hī nahīñ hai
bijlī kī amaañ meñ bhī gulistān bahut haiñ
ai gesū-e-shab-rang hameñ bhī to amaañ de
ham ko bhī tirī chhāñv ke armān bahut haiñ
ham ne to ye samjhā hai 'nihāl' ab bhī ġhazal ko
kahne kā salīqa ho to unvān bahut haiñ
maiKHane mein ulfat ke nigahban bahut hain
is chhoTi si basti mein bhi insan bahut hain
KHud apni tabahi ka hamein ranj nahin hai
tauhin-e-mohabbat se pareshan bahut hain
aaj un ko hua hai ghalat ehsas ka ehsas
aaina jo dekha hai to hairan bahut hain
maiKHane mein roz aane ki kyon karta hai zahmat
zahid teri tabligh ke maidan bahut hain
aagah nahin hansne ke anjam se shayad
wo phul jinhen hansne ke arman bahut hain
maghmum na ho tang-nigahi-e-jahan se
bilqis-e-adab tere sulaiman bahut hain
sahil pe pahunchne ki kare kaun tamanna
dariya mein safine ke nigahban bahut hain
bijli ki sifat shoala-fishani hi nahin hai
bijli ki aman mein bhi gulistan bahut hain
ai gesu-e-shab-rang hamein bhi to aman de
hum ko bhi teri chhanw ke arman bahut hain
hum ne to ye samjha hai 'nihaal' ab bhi ghazal ko
kahne ka saliqa ho to unwan bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.