maila tan to dhoya jae maile man ko dhoe kaun
maila tan to dhoya jae maile man ko dhoe kaun
Ganesh Gaikwad Aaghaz
MORE BYGanesh Gaikwad Aaghaz
mailā tan to dhoyā jaa.e maile man ko dho.e kaun
hañstā hai jo sab ke dukh meñ us ke dukh meñ ro.e kaun
yādeñ us kī bāteñ us kī us ke hī ab charche haiñ
vāsta hai jo us ke dil meñ us ke dil meñ ho.e kaun
narm mulā.em hai bistar par niiñd zarā bhī aa.e na
patthar ko sirhāne le kar gahrī niiñd ye so.e kaun
sab mujh ko apne lagte haiñ sab mujh ko achchhe lagte
maiñ bhī sochūñ merī niiñd meñ aise sapne bo.e kaun
apnā apnā bojh saroñ par saare le kar chalte haiñ
dard jahāñ ke apne sar par lekin auroñ Dho.e kaun
maila tan to dhoya jae maile man ko dhoe kaun
hansta hai jo sab ke dukh mein us ke dukh mein roe kaun
yaaden us ki baaten us ki us ke hi ab charche hain
wasta hai jo us ke dil mein us ke dil mein hoe kaun
narm mulaem hai bistar par nind zara bhi aae na
patthar ko sirhane le kar gahri nind ye soe kaun
sab mujh ko apne lagte hain sab mujh ko achchhe lagte
main bhi sochun meri nind mein aise sapne boe kaun
apna apna bojh saron par sare le kar chalte hain
dard jahan ke apne sar par lekin auron Dhoe kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.