main aaina dikhaun is se pahle bol paDte hain
main aaina dikhaun is se pahle bol paDte hain
Abdul Hameed Bashar
MORE BYAbdul Hameed Bashar
maiñ ā.īna dikhā.ūñ is se pahle bol paḌte haiñ
ḳhud apnī hī safā.ī meñ ye chehre bol paḌte haiñ
ḳhudā jaane ye kaisī maslahat kī qaid hai yaaro
ki jhūToñ kī himāyat meñ bhī sachche bol paḌte haiñ
chhupā letā huuñ manzil se maiñ sab dushvāriyāñ lekin
safar kā haal in pairoñ ke chhāle bol paḌte haiñ
unheñ ma.alūm hai anjām apnī lab-kushā.ī kā
magar fitrat se haiñ majbūr shīshe bol paḌte haiñ
ta'alluq kaun rakhtā hai kisī nākām se lekin
mile jo kāmyābī saare rishte bol paḌte haiñ
mirī ḳhūbī pe rahte haiñ yahāñ ahl-e-zabāñ ḳhāmosh
mire aiboñ pe ho charchā to gūñge bol paḌte haiñ
main aaina dikhaun is se pahle bol paDte hain
KHud apni hi safai mein ye chehre bol paDte hain
KHuda jaane ye kaisi maslahat ki qaid hai yaro
ki jhuTon ki himayat mein bhi sachche bol paDte hain
chhupa leta hun manzil se main sab dushwariyan lekin
safar ka haal in pairon ke chhaale bol paDte hain
unhen malum hai anjam apni lab-kushai ka
magar fitrat se hain majbur shishe bol paDte hain
ta'alluq kaun rakhta hai kisi nakaam se lekin
mile jo kaamyabi sare rishte bol paDte hain
meri KHubi pe rahte hain yahan ahl-e-zaban KHamosh
mere aibon pe ho charcha to gunge bol paDte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.