main ab mazi ka har sapna suhana bhul jata hun
maiñ ab maazī kā har sapnā suhāna bhuul jaatā huuñ
mirī jānāñ tirā milnā-milānā bhuul jaatā huuñ
vo merā dost thā ab dushman-e-jāñ ban gayā hai jab
maiñ us ko dekh kar apnā nishāna bhuul jaatā huuñ
jo kal tak yaar thā merā magar ab ġhair hai yaaro
tabhī to us se ab dil kā lagānā bhuul jaatā huuñ
kabhī jis ne diyā thā dard mujh ko rāh-e-ulfat meñ
vo dard-e-dil mirī jānāñ purānā bhuul jaatā huuñ
likhā thā shā.ir-e-mashriq ne apne ḳhuun se jis ko
ajab hālāt haiñ ab vo tarāna bhuul jaatā huuñ
darīcha band rahtā hai ab us ke ghar kā ai 'sājid'
maiñ ab mahbūb ke kūche meñ jaanā bhuul jaatā huuñ
main ab mazi ka har sapna suhana bhul jata hun
meri jaanan tera milna-milana bhul jata hun
wo mera dost tha ab dushman-e-jaan ban gaya hai jab
main us ko dekh kar apna nishana bhul jata hun
jo kal tak yar tha mera magar ab ghair hai yaro
tabhi to us se ab dil ka lagana bhul jata hun
kabhi jis ne diya tha dard mujh ko rah-e-ulfat mein
wo dard-e-dil meri jaanan purana bhul jata hun
likha tha shair-e-mashriq ne apne KHun se jis ko
ajab haalat hain ab wo tarana bhul jata hun
daricha band rahta hai ab us ke ghar ka ai 'sajid'
main ab mahbub ke kuche mein jaana bhul jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.