main agar na paDhta likhta ye kahan waqar hota
main agar na paDhta likhta ye kahan waqar hota
Murtaza Sahil Tasleemi
MORE BYMurtaza Sahil Tasleemi
maiñ agar na paḌhtā likhtā ye kahāñ vaqār hotā
na mujhe adab hī aatā na maiñ burdbār hotā
maiñ agar sharīr hotā sabhī mujh se duur rahte
na koī gale lagātā na kisī ko pyaar hotā
maiñ jo dil se yuuñ na paḌhtā to maiñ first bhī na aatā
na to koī tohfa detā na gale meñ haar hotā
mujhe kitnī sharm aatī mujhe kitnā dukh pahuñchtā
mirā jāhiloñ kī saf meñ jo agar shumār hotā
mujhe sab burā samajhte koī paas kab biThātā
sabhī apnoñ aur ġhairoñ meñ zalīl-o-ḳhvār hotā
main agar na paDhta likhta ye kahan waqar hota
na mujhe adab hi aata na main burdbar hota
main agar sharir hota sabhi mujh se dur rahte
na koi gale lagata na kisi ko pyar hota
main jo dil se yun na paDhta to main first bhi na aata
na to koi tohfa deta na gale mein haar hota
mujhe kitni sharm aati mujhe kitna dukh pahunchta
mera jahilon ki saf mein jo agar shumar hota
mujhe sab bura samajhte koi pas kab biThata
sabhi apnon aur ghairon mein zalil-o-KHwar hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.