main agar siDhiyan utar jati
maiñ agar sīḌhiyāñ utar jaatī
is kā matlab hai maiñ to mar jaatī
maiñ agar shaam kī havā hotī
roz hī chāñdnī ke ghar jaatī
tum agar ham-safar nahīñ hote
merī himmat kahīñ bikhar jaatī
vo agar mujh ko sāñtvnā detā
merī āvāz aur bhar jaatī
dekh rakkhī thī maut kī sūrat
aa.ina dekhtī to Dar jaatī
maiñ agar sochtī tumhārī tarah
maiñ bhī har baat se mukar jaatī
main agar siDhiyan utar jati
is ka matlab hai main to mar jati
main agar sham ki hawa hoti
roz hi chandni ke ghar jati
tum agar ham-safar nahin hote
meri himmat kahin bikhar jati
wo agar mujh ko santwna deta
meri aawaz aur bhar jati
dekh rakkhi thi maut ki surat
aaina dekhti to Dar jati
main agar sochti tumhaari tarah
main bhi har baat se mukar jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.