main ahl-e-zar bhi nahin ahl-e-saltanat bhi nahin
maiñ ahl-e-zar bhī nahīñ ahl-e-saltanat bhī nahīñ
so merā koī ḳhabar-gīr-e-ḳhairiyat bhī nahīñ
zamīn kyoñ mujhe chashm-e-hasad se dekhtī hai
agarche maiñ koī shaḳhs-e-falak-sifat bhī nahīñ
kisī ne phir mire jazboñ kā aaj ḳhuun kiyā
baḌā ajiib huuñ maiñ tālib-e-diyat bhī nahīñ
ai saada lauh tū yaañ kāmyāb na.iiñ hogā
tire vajūd meñ thoḌī munāfiqat bhī nahīñ
mujhe kisī kī zarūrat nahīñ shumārish ko
ki āstīn ke ye saañp anginat bhī nahīñ
vo dars dene lagā hai ḳhudā-shanāsī kā
ḳhudā to duur jise apnī ma.arifat bhī nahīñ
parā.e des meñ aa kar panāh lī maiñ ne
ki mere des meñ thoḌī sī amniyat bhī nahīñ
yaqīn kaise karūñ ḳhat ye tū ne bhejā hai
ki is pe muhr bhī aur terā dastaḳhat bhī nahīñ
ḳhud us ke bachche bhī karte nahīñ salām use
ġharīb baap kī ab itnī haisiyat bhī nahīñ
maiñ kaise maan luuñ ye terā aks hai jānam
ki us kī tujh se zarā sī mushābahat bhī nahīñ
hamāre jiite jī ġhairoñ se rasm-o-rāh na rakh
hamāre dil meñ ye ġham Dhone kī sakat bhī nahīñ
hamesha us ko manāne meñ pahl karte ho
so us kā yūñhī ḳhafā honā kuchh ġhalat bhī nahīñ
luTā chukā huuñ maiñ sab kuchh rah-e-mohabbat meñ
ki farsh paañv tale aur sar pe chhat bhī nahīñ
mirī likhī huiiñ ġhazleñ paḌhe to kaun paḌhe
ab is qadar bhī hasīñ 'nūrī' kī likhat bhī nahīñ
main ahl-e-zar bhi nahin ahl-e-saltanat bhi nahin
so mera koi KHabar-gir-e-KHairiyat bhi nahin
zamin kyon mujhe chashm-e-hasad se dekhti hai
agarche main koi shaKHs-e-falak-sifat bhi nahin
kisi ne phir mere jazbon ka aaj KHun kiya
baDa ajib hun main talib-e-diyat bhi nahin
ai sada lauh tu yan kaamyab nain hoga
tere wajud mein thoDi munafiqat bhi nahin
mujhe kisi ki zarurat nahin shumarish ko
ki aastin ke ye sanp anginat bhi nahin
wo dars dene laga hai KHuda-shanasi ka
KHuda to dur jise apni marifat bhi nahin
parae des mein aa kar panah li main ne
ki mere des mein thoDi si amniyat bhi nahin
yaqin kaise karun KHat ye tu ne bheja hai
ki is pe muhr bhi aur tera dastaKHat bhi nahin
KHud us ke bachche bhi karte nahin salam use
gharib bap ki ab itni haisiyat bhi nahin
main kaise man lun ye tera aks hai jaanam
ki us ki tujh se zara si mushabahat bhi nahin
hamare jite ji ghairon se rasm-o-rah na rakh
hamare dil mein ye gham Dhone ki sakat bhi nahin
hamesha us ko manane mein pahl karte ho
so us ka yunhi KHafa hona kuchh ghalat bhi nahin
luTa chuka hun main sab kuchh rah-e-mohabbat mein
ki farsh panw tale aur sar pe chhat bhi nahin
meri likhi huin ghazlen paDhe to kaun paDhe
ab is qadar bhi hasin 'nuri' ki likhat bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.