main aise chup jo khaDa hua hun mere azizo
maiñ aise chup jo khaḌā huā huuñ mire 'azīzo
ḳhafā huuñ ḳhud se laḌā huā huuñ mire 'azīzo
falak pe uḌne kī aarzū kā yahī sila hai
zamīñ pe murda paḌā huā huuñ mire 'azīzo
isī liye to mire suḳhan meñ ye tīkhā-pan hai
maiñ hāsidoñ meñ baḌā huā huuñ mire 'azīzo
sisakte logoñ bilaktī rūhoñ ko dekhtā huuñ
maiñ phir bhī behis khaḌā huā huuñ mire 'azīzo
mujhe batāte ho mausamoñ kā badalnā kyā hai
bahār-rut meñ jhaḌā huā huuñ mire 'azīzo
kahānī kab kī maiñ puurī kar ke sunā bhī detā
kisī jagah par aḌā huā huuñ mire 'azīzo
maiñ kaun huuñ kis tarah kā huuñ ye unhī se pūchho
ki jin diloñ meñ gaḌā huā huuñ mire 'azīzo
main aise chup jo khaDa hua hun mere 'azizo
KHafa hun KHud se laDa hua hun mere 'azizo
falak pe uDne ki aarzu ka yahi sila hai
zamin pe murda paDa hua hun mere 'azizo
isi liye to mere suKHan mein ye tikha-pan hai
main hasidon mein baDa hua hun mere 'azizo
sisakte logon bilakti ruhon ko dekhta hun
main phir bhi behis khaDa hua hun mere 'azizo
mujhe batate ho mausamon ka badalna kya hai
bahaar-rut mein jhaDa hua hun mere 'azizo
kahani kab ki main puri kar ke suna bhi deta
kisi jagah par aDa hua hun mere 'azizo
main kaun hun kis tarah ka hun ye unhi se puchho
ki jin dilon mein gaDa hua hun mere 'azizo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.