main aksar rah chalte sochta hun
maiñ aksar raah chalte sochtā huuñ
maiñ āḳhir ye safar kyoñ kar rahā huuñ
zamāna aa rahā hai jā rahā hai
magar maiñ raah meñ tanhā khaḌā huuñ
koī aa.e mujhe bāhar nikāle
maiñ apne aap se tang aa chukā huuñ
ye saayā thā na saa.e kā gumāñ thā
maiñ jaltī ret par sadiyoñ chalā huuñ
tumhārā naam jab aatā hai lab par
maiñ pattoñ kī tarah se kāñptā huuñ
mire dam se hai sadiyoñ kā tasalsul
magar maiñ kis qadar TuuTā huā huuñ
hisār-e-jism se huuñ mutma.in ab
maiñ zanjīreñ bahut kam toḌtā huuñ
main aksar rah chalte sochta hun
main aaKHir ye safar kyon kar raha hun
zamana aa raha hai ja raha hai
magar main rah mein tanha khaDa hun
koi aae mujhe bahar nikale
main apne aap se tang aa chuka hun
ye saya tha na sae ka guman tha
main jalti ret par sadiyon chala hun
tumhaara nam jab aata hai lab par
main patton ki tarah se kanpta hun
mere dam se hai sadiyon ka tasalsul
magar main kis qadar TuTa hua hun
hisar-e-jism se hun mutmain ab
main zanjiren bahut kam toDta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.