main andhera ek shab ka tera sham sa zamana
maiñ añdherā ek shab kā tirā sham' sā zamāna
bhalā kaise hogā mumkin koī mil ke ghar basānā
abhī aag se lipaTne kā hunar hai mujh meñ zinda
abhī gardish-e-zamāna mire sāmne na aanā
jahāñ be-zamīr añdheroñ ne kiyā hai ḳhair-maqdam
usī raah par charāġhoñ ko jalā ke chhoḌ jaanā
mirā dil hai muztarib sā tirā dil hai mutma.in sā
na tirā yahāñ Thikānā na mirā yahāñ Thikānā
maiñ safar pe lauT jaane kā irāda jab karūñ huuñ
koī ai 'bashar' kahe hai mire shahr se na jaanā
main andhera ek shab ka tera sham' sa zamana
bhala kaise hoga mumkin koi mil ke ghar basana
abhi aag se lipaTne ka hunar hai mujh mein zinda
abhi gardish-e-zamana mere samne na aana
jahan be-zamir andheron ne kiya hai KHair-maqdam
usi rah par charaghon ko jala ke chhoD jaana
mera dil hai muztarib sa tera dil hai mutmain sa
na tera yahan Thikana na mera yahan Thikana
main safar pe lauT jaane ka irada jab karun hun
koi ai 'bashar' kahe hai mere shahr se na jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.