main anjaan tha jin se aise jazbon ki pahchan hui
maiñ anjān thā jin se aise jazboñ kī pahchān huī
'nūr' banā jo qaus-e-quzah to rangoñ kī pahchān huī
khol ke āñkheñ jab bhī haqīqat kā maiñ ne dīdār kiyā
mujh ko dilāsa dene vaale sapnoñ kī pahchān huī
maiñ saare ākāsh meñ ghūmā pañkh thake to lauT aaya
jab aa kar Daalī pe baiThā peḌoñ kī pahchān huī
ishq meñ mil ke khīñch rahā hai dekh lakīreñ gāloñ par
dukh aur kājal ke nā-jā.ez rishtoñ kī pahchān huī
maiñ ne apne rahbar ko bas yaad kiyā aur muskāyā
mastoñ kī Tolī meñ jab bhī pīroñ se pahchān huī
main anjaan tha jin se aise jazbon ki pahchan hui
'nur' bana jo qaus-e-quzah to rangon ki pahchan hui
khol ke aankhen jab bhi haqiqat ka main ne didar kiya
mujh ko dilasa dene wale sapnon ki pahchan hui
main sare aakash mein ghuma pankh thake to lauT aaya
jab aa kar Dali pe baiTha peDon ki pahchan hui
ishq mein mil ke khinch raha hai dekh lakiren galon par
dukh aur kajal ke na-jaez rishton ki pahchan hui
main ne apne rahbar ko bas yaad kiya aur muskaya
maston ki Toli mein jab bhi piron se pahchan hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.