main apna ishq zaban se bayan karun bhi nahin
maiñ apnā 'ishq zabāñ se bayāñ karūñ bhī nahīñ
nazar se aap kī lekin chhupā sakūñ bhī nahīñ
tire ġhalat ko ġhalat tak na kah sakūñ vā'iz
qasam ḳhudā kī maiñ itnā sharīf huuñ bhī nahīñ
jo terī yaad ko ro ro ke nazr kar dete
hamārī aañkh meñ afsos itnā ḳhuuñ bhī nahīñ
ye kaise moḌ pe le aa.ī zindagī mujh ko
ki jī sakūñ bhī nahīñ aur mar sakūñ bhī nahīñ
tire qarīb hī vahshat-zada sā rahtā huuñ
tire baġhair mirī jaañ mujhe sukūñ bhī nahīñ
tumhāre baa'd tumhārī qasam tumhārī tarah
kisī ko chāhte rahne kā ab junūñ bhī nahīñ
agar hai 'ishq pe tohmat faqat numā.ish kī
to chashm-e-nāz meñ pahle sā vo fusūñ bhī nahīñ
kabhī kabhī hī sahī shā'irī ke parde meñ
maiñ apne ġham ko zamāne se kyā kahūñ bhī nahīñ
main apna 'ishq zaban se bayan karun bhi nahin
nazar se aap ki lekin chhupa sakun bhi nahin
tere ghalat ko ghalat tak na kah sakun wa'iz
qasam KHuda ki main itna sharif hun bhi nahin
jo teri yaad ko ro ro ke nazr kar dete
hamari aankh mein afsos itna KHun bhi nahin
ye kaise moD pe le aai zindagi mujh ko
ki ji sakun bhi nahin aur mar sakun bhi nahin
tere qarib hi wahshat-zada sa rahta hun
tere baghair meri jaan mujhe sukun bhi nahin
tumhaare ba'd tumhaari qasam tumhaari tarah
kisi ko chahte rahne ka ab junun bhi nahin
agar hai 'ishq pe tohmat faqat numaish ki
to chashm-e-naz mein pahle sa wo fusun bhi nahin
kabhi kabhi hi sahi sha'iri ke parde mein
main apne gham ko zamane se kya kahun bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.