main apne aap se ghafil na yun hua hota
maiñ apne aap se ġhāfil na yuuñ huā hotā
mire bhī paas agar koī aa.inā hotā
zarā tū soch ki itnā hī kar liyā hotā
mujhe kitāb samajh kar hī paḌh liyā hotā
tamām umr faqat ek aarzū hī rahī
kiyā thā pyaar to phir TuuT kar kiyā hotā
ye aur baat ki maiñ tujh se duur huuñ lekin
maiñ tere paas bhī hotā bhalā to kyā hotā
papīhā sāvanoñ meñ yuuñ pukārtā na kabhī
agar tū chāñdnī rātoñ meñ mil gayā hotā
mirī bisāt ke baare meñ pūchhne vaale
kisī faqīr kā chehra hī paḌh liyā hotā
karūñ to kis se karūñ maiñ gila jahālat kā
ye aarzū thī ki maiñ bhī paḌhā likhā hotā
main apne aap se ghafil na yun hua hota
mere bhi pas agar koi aaina hota
zara tu soch ki itna hi kar liya hota
mujhe kitab samajh kar hi paDh liya hota
tamam umr faqat ek aarzu hi rahi
kiya tha pyar to phir TuT kar kiya hota
ye aur baat ki main tujh se dur hun lekin
main tere pas bhi hota bhala to kya hota
papiha sawanon mein yun pukarta na kabhi
agar tu chandni raaton mein mil gaya hota
meri bisat ke bare mein puchhne wale
kisi faqir ka chehra hi paDh liya hota
karun to kis se karun main gila jahaalat ka
ye aarzu thi ki main bhi paDha likha hota
- Book : Pakistani Adab (Pg. 426)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.