main apne aap se Takra gai hun
maiñ apne aap se Takrā ga.ī huuñ
tire dhoke meñ dhokā khā ga.ī huuñ
tujhe pā kar to aisā lag rahā hai
zarūrat se ziyāda pā ga.ī huuñ
tirī tasvīr bhī chheḌe hai mujh ko
tirī tasvīr se sharmā ga.ī huuñ
tire dāman meñ ashk-e-ġham kī sūrat
maiñ apne aap ko barsā ga.ī huuñ
main apne aap se Takra gai hun
tere dhoke mein dhoka kha gai hun
tujhe pa kar to aisa lag raha hai
zarurat se ziyaada pa gai hun
teri taswir bhi chheDe hai mujh ko
teri taswir se sharma gai hun
tere daman mein ashk-e-gham ki surat
main apne aap ko barsa gai hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.