main apne azab likh rahi thi
maiñ apne azaab likh rahī thī
zaḳhmoñ kā hisāb likh rahī thī
phūloñ kī zabāñ kī shā.era thī
kāñToñ se gulāb likh rahī thī
us peḌ ke khokhle tane par
ik umr ke ḳhvāb likh rahī thī
āñkhoñ se savāl paḌh rahī thī
palkoñ se javāb likh rahī thī
har buuñd shikasta bām-o-dar par
bārish kā itaab likh rahī thī
ik nasl ke ḳhvāb ke lahū se
ik nasl ke ḳhvāb likh rahī thī
phūloñ meñ Dhalī huī ye laḌkī
patthar pe kitāb likh rahī thī
main apne azab likh rahi thi
zaKHmon ka hisab likh rahi thi
phulon ki zaban ki shaera thi
kanTon se gulab likh rahi thi
us peD ke khokhle tane par
ek umr ke KHwab likh rahi thi
aankhon se sawal paDh rahi thi
palkon se jawab likh rahi thi
har bund shikasta baam-o-dar par
barish ka itab likh rahi thi
ek nasl ke KHwab ke lahu se
ek nasl ke KHwab likh rahi thi
phulon mein Dhali hui ye laDki
patthar pe kitab likh rahi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.