main apne dil mein nai KHwahishen sajae hue
maiñ apne dil meñ na.ī ḳhvāhisheñ sajā.e hue
khaḌā huā huuñ havā meñ qadam jamā.e hue
na.e jahāñ kī tamannā meñ ghar se niklā huuñ
hatheliyoñ pe na.ī mish.aleñ jalā.e hue
havā ke phuul mahakne lage mujhe pā kar
maiñ pahlī baar hañsā zaḳhm ko chhupā.e hue
na āñdhiyāñ haiñ na tūfāñ na ḳhuun ke sailāb
haiñ ḳhushbuoñ meñ manāzir sabhī nahā.e hue
pighal ga.ī haiñ achānak ġhamoñ kī zanjīreñ
gire haiñ dhuup ke neze badan churā.e hue
dikhā rahī hai na.ī zindagī ke naqsh-e-qadam
sukūñ kī niiñd gale se mujhe lagā.e hue
chaTaḳhne vaalī zamīñ duur rah ga.ī 'afzal'
haiñ saare khet sitāroñ ke lahlahā.e hue
main apne dil mein nai KHwahishen sajae hue
khaDa hua hun hawa mein qadam jamae hue
nae jahan ki tamanna mein ghar se nikla hun
hatheliyon pe nai mishalen jalae hue
hawa ke phul mahakne lage mujhe pa kar
main pahli bar hansa zaKHm ko chhupae hue
na aandhiyan hain na tufan na KHun ke sailab
hain KHushbuon mein manazir sabhi nahae hue
pighal gai hain achanak ghamon ki zanjiren
gire hain dhup ke neze badan churae hue
dikha rahi hai nai zindagi ke naqsh-e-qadam
sukun ki nind gale se mujhe lagae hue
chaTaKHne wali zamin dur rah gai 'afzal'
hain sare khet sitaron ke lahlahae hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.