main apne ijz-e-zat ka izhaar ho gaya
maiñ apne ijz-e-zāt kā iz.hār ho gayā
gum-karda-rāh-e-manzil-e-dushvār ho gayā
kal tak thā ek phuul mahaktā huā magar
aisī chalīñ havā.eñ ki maiñ ḳhaar ho gayā
be-sūd ho ga.ī haiñ sila-rahmiyāñ tamām
ḳhud apne haq meñ aaj maiñ talvār ho gayā
chehra chhupā.e phirtā huuñ ḳhud apne aap se
maiñ jo tirī nazar meñ gunahgār ho gayā
ab aur de fareb na ai gardish-e-jahāñ
ḳhud ko sañbhāl niiñd se bedār ho gayā
mahsūs ho rahī hai tumhārī kamī 'ziyā'
tum se mile zamāna mire yaar ho gayā
main apne ijz-e-zat ka izhaar ho gaya
gum-karda-rah-e-manzil-e-dushwar ho gaya
kal tak tha ek phul mahakta hua magar
aisi chalin hawaen ki main KHar ho gaya
be-sud ho gai hain sila-rahmiyan tamam
KHud apne haq mein aaj main talwar ho gaya
chehra chhupae phirta hun KHud apne aap se
main jo teri nazar mein gunahgar ho gaya
ab aur de fareb na ai gardish-e-jahan
KHud ko sanbhaal nind se bedar ho gaya
mahsus ho rahi hai tumhaari kami 'ziya'
tum se mile zamana mere yar ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.