main apne jism se bahar khaDa hun
maiñ apne jism se bāhar khaḌā huuñ
ḳhud apne aap hī ko DhūñDhtā huuñ
maiñ kis kī guuñj huuñ kis kī sadā huuñ
ye aksar sochtā huuñ maiñ ki kyā huuñ
maiñ sang-e-rāh huuñ yā naqsh-e-pā huuñ
ka.ī pairoñ tale rauñdā gayā huuñ
bahut pyāsā huuñ sāhil pe khaḌā huuñ
nigāhoñ se samundar nāptā huuñ
sukhātī hai paroñ ko dhuup jis par
maiñ vo ik zard pattā ban gayā huuñ
pahan kar lafz-o-ma.anī ke libāde
bahut din se kitāboñ meñ paḌā huuñ
ka.ī chehre nazar aate haiñ jis meñ
maiñ vo TuuTā huā sā aa.ina huuñ
har ik shai niiñd meñ Duubī huī hai
bas ik maiñ hī yahāñ par jāgtā huuñ
main apne jism se bahar khaDa hun
KHud apne aap hi ko DhunDhta hun
main kis ki gunj hun kis ki sada hun
ye aksar sochta hun main ki kya hun
main sang-e-rah hun ya naqsh-e-pa hun
kai pairon tale raunda gaya hun
bahut pyasa hun sahil pe khaDa hun
nigahon se samundar napta hun
sukhati hai paron ko dhup jis par
main wo ek zard patta ban gaya hun
pahan kar lafz-o-mani ke libaade
bahut din se kitabon mein paDa hun
kai chehre nazar aate hain jis mein
main wo TuTa hua sa aaina hun
har ek shai nind mein Dubi hui hai
bas ek main hi yahan par jagta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.