main apne kaam agar waqt par nahin karta
maiñ apne kaam agar vaqt par nahīñ kartā
to kāmyābī kā parvat bhī sar nahīñ kartā
hasīn ḳhvāb agar dil meñ ghar nahīñ kartā
tavīl raat se maiñ dar-guzar nahīñ kartā
sikhā diyā hai mujhe ġham ne zindagī kā hunar
kisī bhī haal meñ ab aañkh tar nahīñ kartā
gire zamīn pe dastār sar ke jhukne se
maiñ hukmarāñ ko salām is qadar nahīñ kartā
maiñ apne azm kī patvār saath rakhtā huuñ
mire safīne pe tūfāñ asar nahīñ kartā
ġhurūr saath meñ chaltā hai har ghaḌī us ke
vo ab amiir hai tanhā safar nahīñ kartā
diyā umiid kā tū har ghaḌī jalā.e rakh
har ek raat kī kyā rab sahar nahīñ kartā
ajab javāb thā un kā 'dinesh' socheñge
sunā thā ishq koī soch kar nahīñ kartā
main apne kaam agar waqt par nahin karta
to kaamyabi ka parwat bhi sar nahin karta
hasin KHwab agar dil mein ghar nahin karta
tawil raat se main dar-guzar nahin karta
sikha diya hai mujhe gham ne zindagi ka hunar
kisi bhi haal mein ab aankh tar nahin karta
gire zamin pe dastar sar ke jhukne se
main hukmaran ko salam is qadar nahin karta
main apne azm ki patwar sath rakhta hun
mere safine pe tufan asar nahin karta
ghurur sath mein chalta hai har ghaDi us ke
wo ab amir hai tanha safar nahin karta
diya umid ka tu har ghaDi jalae rakh
har ek raat ki kya rab sahar nahin karta
ajab jawab tha un ka 'dinesh' sochenge
suna tha ishq koi soch kar nahin karta
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.