main apne KHwab mein kuchh KHak mein milati hun
maiñ apne ḳhvāb meñ kuchh ḳhaak meñ milātī huuñ
na jaane ḳhaak se aisā maiñ kyā uThātī huuñ
sitāre bhar ke maiñ dāman meñ jab bhī laatī huuñ
tumhārī raah meñ phir shauq se bichhātī huuñ
ki pyaas dekh rahe haiñ ye tishna-lab mere
maiñ ashk piitī huuñ aur tishnagī miTātī huuñ
zamāne bhar se vo mujh ko hasīn lagtā hai
zamāne bhar se yahī baat maiñ chhupātī huuñ
kabhī kabhī to mujhe yaad tak nahīñ rahtā
ki chāñd jaltā hai shab meñ yā dil jalātī huuñ
maiñ likh rahī huuñ mohabbat pe ek nazm magar
kabhī maiñ likhtī huuñ us ko kabhī miTātī huuñ
karo ye va.ada ki mujh se ḳhafā nahīñ honā
maiñ māntī huuñ ki maiñ baat ko baḌhātī huuñ
fasāne likhtī huuñ maiñ ġham-zada mohabbat ke
maiñ dard likhtī huuñ aur dard hī kamātī huuñ
main apne KHwab mein kuchh KHak mein milati hun
na jaane KHak se aisa main kya uThati hun
sitare bhar ke main daman mein jab bhi lati hun
tumhaari rah mein phir shauq se bichhati hun
ki pyas dekh rahe hain ye tishna-lab mere
main ashk piti hun aur tishnagi miTati hun
zamane bhar se wo mujh ko hasin lagta hai
zamane bhar se yahi baat main chhupati hun
kabhi kabhi to mujhe yaad tak nahin rahta
ki chand jalta hai shab mein ya dil jalati hun
main likh rahi hun mohabbat pe ek nazm magar
kabhi main likhti hun us ko kabhi miTati hun
karo ye wada ki mujh se KHafa nahin hona
main manti hun ki main baat ko baDhati hun
fasane likhti hun main gham-zada mohabbat ke
main dard likhti hun aur dard hi kamati hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.