main apne naqsh bana lun to phir nikalte hain
main apne naqsh bana lun to phir nikalte hain
Mohammad Shahid Firoz
MORE BYMohammad Shahid Firoz
maiñ apne naqsh banā luuñ to phir nikalte haiñ
zarā vajūd meñ aa luuñ to phir nikalte haiñ
bahut uḌaa.e hai ye ḳhaak chaar sū merī
gumāñ kī ḳhaak uḌā luuñ to phir nikalte haiñ
maiñ apne karb kā elaan karne vaalā huuñ
maiñ khul ke shor machā luuñ to phir nikalte haiñ
mujhe tamām ġhamoñ se bichhaḌ ke jaanā hai
unheñ gale se lagā luuñ to phir nikalte haiñ
is ek rog ne chhīnā hai zindagī kā sukūñ
zarā ye bhuuk churā luuñ to phir nikalte haiñ
meñ tark-e-ḳhvāhish-e-duniyā uThā.e phirtā huuñ
zarā ye laash dabā luuñ to phir nikalte haiñ
junūñ kī raah pe ab ishq chal paḌā 'shāhid'
junūñ ke hosh uḌā luuñ to phir nikalte haiñ
main apne naqsh bana lun to phir nikalte hain
zara wajud mein aa lun to phir nikalte hain
bahut uDae hai ye KHak chaar su meri
guman ki KHak uDa lun to phir nikalte hain
main apne karb ka elan karne wala hun
main khul ke shor macha lun to phir nikalte hain
mujhe tamam ghamon se bichhaD ke jaana hai
unhen gale se laga lun to phir nikalte hain
is ek rog ne chhina hai zindagi ka sukun
zara ye bhuk chura lun to phir nikalte hain
mein tark-e-KHwahish-e-duniya uThae phirta hun
zara ye lash daba lun to phir nikalte hain
junun ki rah pe ab ishq chal paDa 'shahid'
junun ke hosh uDa lun to phir nikalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.