Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main apne par bhi uDanen bhi KHud banaungi

Mahnaz Anjum

main apne par bhi uDanen bhi KHud banaungi

Mahnaz Anjum

MORE BYMahnaz Anjum

    maiñ apne par bhī uḌāneñ bhī ḳhud banā.ūñgī

    nishāna letī kamāneñ bhī ḳhud banā.ūñgī

    havā se faiz ummīd tak nahīñ mujh ko

    so ūñchī nīchī uḌāneñ bhī ḳhud banā.ūñgī

    maiñ harf likhūñgī pahle varaq pe ghāyal

    phir us zaḳhm tāneñ bhī ḳhud banā.ūñgī

    mukālima bhī nayā hogā aapsī sab

    jahān-e-nau zabāneñ ḳhud banā.ūñgī

    maiñ munhadim karūñgī sab ġhanīm dīvāreñ

    qile ke gird chaTTāneñ bhī ḳhud banā.ūñgī

    hañsī ko maiñ ne show-case meñ sajā diyā thā

    aur ab ḳhushī dukāneñ bhī ḳhud banā.ūñgī

    kahīñ se milte haiñ pātāl ab ta.alluq ke

    maiñ ye amiiq Dhalāneñ bhī ḳhud banā.ūñgī

    main apne par bhi uDanen bhi KHud banaungi

    nishana leti kamanen bhi KHud banaungi

    hawa se faiz ki ummid tak nahin mujh ko

    so unchi nichi uDanen bhi KHud banaungi

    main harf likhungi pahle waraq pe ghayal sa

    phir us ki zaKHm ki tanen bhi KHud banaungi

    mukalima bhi naya hoga aapsi sab ka

    jahan-e-nau ki zabanen KHud banaungi

    main munhadim karungi sab ghanim diwaren

    qile ke gird chaTTanen bhi KHud banaungi

    hansi ko main ne hi show-case mein saja diya tha

    aur ab KHushi ki dukanen bhi KHud banaungi

    kahin se milte hain patal ab talluq ke

    main ye amiq Dhalanen bhi KHud banaungi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now