main apne taur pe khela tha aabginon se
maiñ apne taur pe khelā thā ābgīnoñ se
milā huuñ yāroñ ko taht-us-surā ke zīnoñ se
maiñ aise shaḳhs kī taqlīd karnā chāhtā huuñ
jo saañs letā rahā dostoñ ke sīnoñ se
gumāñ guzartā hai duniyā kī tez-gāmī se
ki log ḳhvāb bhī dekheñge dūr-bīnoñ se
ye tajraba hai mirā sarsarī sī baat nahīñ
koī bhī nukta milegā na nukta-chīnoñ se
hamārī āñkhoñ se aañsū gire nadāmat ke
hai diin phuuT paḌā kufr kī zamīnoñ se
salāmī kā hai ye andāz jāntā huuñ magar
bahut se haath haiñ Tāñke ga.e jabīnoñ se
mizāj-e-vaqt moharram safar pe baat kareñ
sadī kā karb to mansūb hai mahīnoñ se
ye ālamīn kī tartīb hī ulaT jaa.e
nikālā jaa.e madīna agar madīnoñ se
maiñ us dayār kī miTTī ko nuur jāntā huuñ
jahāñ pe barchhiyāñ toḌī ga.ī thī sīnoñ se
ye shaam jhiil shafaq mo'atabar haiñ apnī jagah
mirā mizāj zarā muḳhtalif hai tīnoñ se
sharāfatoñ meñ vo yūsuf-mizāj hote haiñ
tumheñ milā.ūñgā ġhurbat-zada hasīnoñ se
maiñ sīdhī baat kā aadī huuñ saañp kyuuñ bolūñ
maiñ apne yaar nikālūñgā āstīnoñ se
main apne taur pe khela tha aabginon se
mila hun yaron ko taht-us-sura ke zinon se
main aise shaKHs ki taqlid karna chahta hun
jo sans leta raha doston ke sinon se
guman guzarta hai duniya ki tez-gami se
ki log KHwab bhi dekhenge dur-binon se
ye tajraba hai mera sarsari si baat nahin
koi bhi nukta milega na nukta-chinon se
hamari aankhon se aansu gire nadamat ke
hai din phuT paDa kufr ki zaminon se
salami ka hai ye andaz jaanta hun magar
bahut se hath hain Tanke gae jabinon se
mizaj-e-waqt moharram safar pe baat karen
sadi ka karb to mansub hai mahinon se
ye aalamin ki tartib hi ulaT jae
nikala jae madina agar madinon se
main us dayar ki miTTi ko nur jaanta hun
jahan pe barchhiyan toDi gai thi sinon se
ye sham jhil shafaq mo'atabar hain apni jagah
mera mizaj zara muKHtalif hai tinon se
sharafaton mein wo yusuf-mizaj hote hain
tumhein milaunga ghurbat-zada hasinon se
main sidhi baat ka aadi hun sanp kyun bolun
main apne yar nikalunga aastinon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.