main apni bebasi mahsus kar ke ro raha hunga
maiñ apnī bebasī mahsūs kar ke ro rahā hūñgā
suno ai dosto ik din maiñ sab kuchh kho rahā hūñgā
ye duniyā kār-hā-e-ahmaqāna hī se chaltī hai
kisī mansab pe maiñ bhī baiTh kar kuchh ho rahā hūñgā
tire shikve se vaqt-e-naz.a mujh ko sharm aa.egī
ki apne dāġh-e-dil phir āñsuoñ se dho rahā hūñgā
tirī chashm-e-tahayyur dekh letī kis tarah mujh ko
jahāñ hasrat ke maare sab the maiñ bhī to rahā hūñgā
mirī nusrat pe qābiz ho rahī hai merī paspā.ī
thake-hāre kisī lamhe meñ maiñ bhī so rahā hūñgā
main apni bebasi mahsus kar ke ro raha hunga
suno ai dosto ek din main sab kuchh kho raha hunga
ye duniya kar-ha-e-ahmaqana hi se chalti hai
kisi mansab pe main bhi baiTh kar kuchh ho raha hunga
tere shikwe se waqt-e-naza mujh ko sharm aaegi
ki apne dagh-e-dil phir aansuon se dho raha hunga
teri chashm-e-tahayyur dekh leti kis tarah mujh ko
jahan hasrat ke mare sab the main bhi to raha hunga
meri nusrat pe qabiz ho rahi hai meri paspai
thake-haare kisi lamhe mein main bhi so raha hunga
- Book : Shor ke darmayan (Pg. 59)
- Author : Jamal Owaisi
- Publication : Educational Publishing House (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.