Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main apni haisiyat se kuchh ziyaada le ke aaya hun

Imran Saghar

main apni haisiyat se kuchh ziyaada le ke aaya hun

Imran Saghar

MORE BYImran Saghar

    maiñ apnī haisiyat se kuchh ziyāda le ke aaya huuñ

    maiñ qatra huuñ magar hamrāh dariyā le ke aaya huuñ

    mire mālik mujh aasī pe bhī nazar-e-karam kar de

    koī ik TūTā-phūTā maiñ bhī sajda le ke aaya huuñ

    mujhe bhī kuchh atā kar de ujālā bāñTne vaale

    tirī ḳhidmat meñ tamhīd-e-tamannā le ke aaya huuñ

    tumhārī aañkh ke raste tumhāre dil meñ utrūñgā

    maiñ azm-o-hausla puḳhta irāda le ke aaya huuñ

    ajal ne kaam apnā kar diyā rishvat nahīñ khaa.ī

    maiñ kaafī der tak chīḳhā ki paisa le ke aaya huuñ

    chale aao ki pahle tarah mātam kareñ mil kar

    maiñ apne dil ke armānoñ lāsha le ke aaya huuñ

    mujhe har haal meñ tārīkiyoñ sar kuchalnā hai

    hathelī par ugā kar chāñd taarā le ke aaya huuñ

    mirī tahrīr se 'sāġhar' abhī tak ḳhuuñ Tapaktā hai

    maiñ in kāġhaz ke TukḌoñ meñ kaleja le ke aaya huuñ

    main apni haisiyat se kuchh ziyaada le ke aaya hun

    main qatra hun magar hamrah dariya le ke aaya hun

    mere malik tu mujh aasi pe bhi nazar-e-karam kar de

    koi ek TuTa-phuTa main bhi sajda le ke aaya hun

    mujhe bhi kuchh ata kar de ujala banTne wale

    teri KHidmat mein tamhid-e-tamanna le ke aaya hun

    tumhaari aankh ke raste tumhaare dil mein utrunga

    main azm-o-hausla puKHta irada le ke aaya hun

    ajal ne kaam apna kar diya rishwat nahin khai

    main kafi der tak chiKHa ki paisa le ke aaya hun

    chale aao ki pahle ki tarah matam karen mil kar

    main apne dil ke armanon ka lasha le ke aaya hun

    mujhe har haal mein tarikiyon ka sar kuchalna hai

    hatheli par uga kar chand tara le ke aaya hun

    meri tahrir se 'saghar' abhi tak KHun Tapakta hai

    main in kaghaz ke TukDon mein kaleja le ke aaya hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now