main apni KHak ko jab aaina banata hun
maiñ apnī ḳhaak ko jab aa.ina banātā huuñ
to is ke vāste dil bhī nayā banātā huuñ
har ik parind rahe tā-abad yahāñ shādāb
isī liye maiñ shajar bhī harā banātā huuñ
bhaTak na jaa.e kahīñ shahr-e-ġham meñ apnā dil
so tere ḳhvāb ko maiñ rahnumā banātā huuñ
kare na kyuuñ ye tire dil meñ ghar mire hamdam
maiñ apne sher ko dard-āshnā banātā huuñ
maiñ pahle bhartā huuñ us dil meñ vahshateñ aur phir
savād-e-dasht ko bhī ham-navā banātā huuñ
vo fā.elāt-o-mafā.īl ke nahīñ bas meñ
maiñ apne sher meñ jo zāviya banātā huuñ
talāsh kartī haiñ ḳhud manzileñ jise 'ahmad'
maiñ dasht-e-shauq meñ vo rāsta banātā huuñ
main apni KHak ko jab aaina banata hun
to is ke waste dil bhi naya banata hun
har ek parind rahe ta-abad yahan shadab
isi liye main shajar bhi hara banata hun
bhaTak na jae kahin shahr-e-gham mein apna dil
so tere KHwab ko main rahnuma banata hun
kare na kyun ye tere dil mein ghar mere hamdam
main apne sher ko dard-ashna banata hun
main pahle bharta hun us dil mein wahshaten aur phir
sawad-e-dasht ko bhi ham-nawa banata hun
wo faelat-o-mafail ke nahin bas mein
main apne sher mein jo zawiya banata hun
talash karti hain KHud manzilen jise 'ahmad'
main dasht-e-shauq mein wo rasta banata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.