main apni zat se bahar nikalna chahta hun
maiñ apnī zaat se bāhar nikalnā chāhtā huuñ
maiñ dariyā key tarah rasta badalnā chāhtā huuñ
ghanī be-nūr ḳhāmoshī ke jañgal se nikal kar
chamakne vaalī āvāzoñ meñ Dhalnā chāhtā huuñ
maiñ jis patthar ke andar qaid huuñ chashme key sūrat
usī patthar ke siine se ubalnā chāhtā huuñ
na jaane kitne gard ālūd insānoñ kī ḳhātir
zamīñ par āsmāñ kā rañg malnā chāhtā huuñ
jahāñ mahsūs ho mujh ko tirī sāñsoñ kī ḳhushbū
unhī mahke hue rastoñ pe chalnā chāhtā huuñ
ta.affun baḌh gayā chāroñ taraf had se ziyāda
maiñ apne dil key ḳhushbueñ ugalnā chāhtā huuñ
main apni zat se bahar nikalna chahta hun
main dariya key tarah rasta badalna chahta hun
ghani be-nur KHamoshi ke jangal se nikal kar
chamakne wali aawazon mein Dhalna chahta hun
main jis patthar ke andar qaid hun chashme key surat
usi patthar ke sine se ubalna chahta hun
na jaane kitne gard aalud insanon ki KHatir
zamin par aasman ka rang malna chahta hun
jahan mahsus ho mujh ko teri sanson ki KHushbu
unhi mahke hue raston pe chalna chahta hun
taffun baDh gaya chaaron taraf had se ziyaada
main apne dil key KHushbuen ugalna chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.