main ashraf hun to ye andaz kyon hai
main ashraf hun to ye andaz kyon hai
Shan-e-Haider Bebak Amrohvi
MORE BYShan-e-Haider Bebak Amrohvi
maiñ ashraf huuñ to ye andāz kyoñ hai
mirī hastī mujhī par raaz kyoñ hai
mirī manzil hai jab arsh-e-mua.allā
to phir kotāhi-e-parvāz kyoñ hai
kisī tūfān kā hai pesh-ḳhema
ye saarā shahr be-āvāz kyoñ hai
marīz-e-ishq ne kyā kah diyā ye
pareshāñ itnā chāra-sāz kyoñ hai
agar haivāniyat shāmil hai is meñ
to phir insāniyat par naaz kyoñ hai
nahīñ hai jo kisī sūrat bhī laa.eq
usī ke vāste e.azāz kyoñ hai
chhupānā hai agar bebāk ġham ko
to chehra karb kā ġhammāz kyoñ hai
main ashraf hun to ye andaz kyon hai
meri hasti mujhi par raaz kyon hai
meri manzil hai jab arsh-e-mualla
to phir kotahi-e-parwaz kyon hai
kisi tufan ka hai pesh-KHema
ye sara shahr be-awaz kyon hai
mariz-e-ishq ne kya kah diya ye
pareshan itna chaara-saz kyon hai
agar haiwaniyat shamil hai is mein
to phir insaniyat par naz kyon hai
nahin hai jo kisi surat bhi laeq
usi ke waste eazaz kyon hai
chhupana hai agar bebak gham ko
to chehra karb ka ghammaz kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.